मोरल स्टोरीज इन हिंदी (Moral Stories in Hindi) में आपका स्वागत है। दोस्तों, आज जो कहानी सुनाने जा रहा हूं उसका नाम है राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani । यह एक Princess and the Frog का कहानी है....आशा करता हूं कि आपको बेहद पसंद आयेगा। तो चलिए शुरू करते है आजका कहानी राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani ।
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi
![]() |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales: Ek Zamane Mein Bohot Hi Bada Samrajya Tha. Vaha Shur Aur Pramanik Raja Shaashan Karta Tha. Uski Ek Sundar Si Beti Thi, Rajkumari Gend Se Khelne Ki Bohot hi Shaukeen thi. Isliye Raja ne Uske Janamdin Par Usse Sone Ka Gend Upahaar Swaroop Diya. Usse Voh Gend Bohot Hi Pasand Tha, Isliye Yadi Mahal Ke Bahaar Bhi Jana Ho Toh Vo Hamesha Uss Gend Ko Apne Paas hee Rakha Karti Thi.
Ek Garmi Mein Shaam Ke Samay Rajkumari Ghumne Ke Liye Upavan Mein Gayi. Usne Sone Ke Gend Ko swayam Ke Haath Mein Hee Pakada Hua Tha. Voh Voh Gend Jitna Uper Hawa Mein Phek Sakati Thi . Utana Phekti thi, Aur Prithiv Par Girane Tak Thahartee Thi. Kintu Ussne Voh Gend Bohot hee Uper Phek Diya. Isliye Rajkumari Ko Voh Gend Kaha Gaya, Yeh Dikha he Nahi Diya. Ussne Naasadik Ke Talab Mein Sirf Paani Ke Chidakav Ki Badi Awaaz Sunee. Are Nahin Mujhe Vishvaas He Nahi Hota Ki Mera Sonee Ka Gend Kho Gaya.
Rajkumari Nirasha Ke Saath Roh Padi. Mein Mere Pitaaji Ko Kaise Batao
Ki Unhone Jo Anmol Upahaar Diya Tha, Voh Mujhase Kho Gaya. Aisaa Kahe Kar
Rajkumari Bohot He Roh Padi. Isse Vaapas Paane Ke Liye Mein Koi Bhi Vastu De
Sakhti Hu. Achanak Ek Mendak Baahar Chalaang Lagayi Aur Voh Taalab Ke Ek Patee
Par Baith Gaya. Tum Kyun Roh Rahi Ho Rajkumari? Uss Rajkumari Ne Voh Swar Sunn
Liya. Ussne Yahan Vahan Dekha Kintu Usse Koi Bhi Dikhayi Nahi Diya.
![]() |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi |
Nahi Nahi Mujhe Tumhare
Heere Aur Moti Nahi Chaiye. Mujhe Tumhara Koi khazaana bhi nahi chaiye. Usska
Mujhe Koi Fayda Nahi Hai, Mein Tum Se Chahaata Hu Ki Tum Mujhse Pyaar Karo. Mujhe
Apne Saath Mein Rakho, Apni Thaali Se He Khaana Khilao, Aur Mujhe Apne Bistar
Mein Sulaao. Agar Tumhe Manzoor Hai Toh Phir Mein Tumhari Gend Talab Se Vaapas
Laaoga. Yeh Kaisa Bhayaanak Vichaar Hai! Ek Mendhak Manushya Jaisa Jeevan Kaise
Jee Sakhta Hai? Rajkumari Chinta Mein Padh Gayi! Aisa Ashleel Mendhak Mera Gend
Kaise Dhundh Sakhta Hai.
![]() |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi |
Rajkumari Bohot He Besabare Se Uss Talab Ki Taraaf Dekh Rahi
Thi! Jald He Mendhak Ne Apna Sir Uper Uthaa Liya. Meri Rajkumari Yeh Rahi
Tumhari Gend! Ussne Aisa Kaha Aur Talab Se Bahaar Aate he Ussne Sonee Ki Gend
Usske Taraaf Phek di. Ussne Usski Pasand Ki Cheez Le Li Aur Khushi Se Mahal Ki
Taraaf Daudane Lagi. Mendhak Usse Pukar kar Usse Diye Vachan Ke Baare Mein Yaad
Dilaane Laga. Lekin Vo Bhul Chuki Thi. Rukh Jao Rajkumari Rukh JaaoKya Tum Bhul
Chuki Ho Apna Vachan. Mujhe Apne Saath Lekar Chalo. Kintu Voh Peeche Mudhee He
Nahi.
![]() |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi |
Kya
Hua Tum Itni Udaas Kyun Ho? Meri Bachi Usske Pitaaji Ne Kaha Lekin Pitaji Rajkumari
Ne Kaha, Usse Samaj Nahi Aa Raha Tha Ki Talab Ke Paas Jo Kuch Hua Kaise
Samjhaye. Mere Janamdin Par Aapne Diye Hue Gend Ke Saath Mein Khel Rahi Thi, Mujhse
Vaha Talab Mein Gir Gaya Vaha Patee Par Ek Mendhak Baitha Tha Aur Uss Mendhak
ne Usse Talab Se Nikalne Mein Meri Madad Ki Thi. Badale Mein Maine Usse Aisa
Vachan Diya Tha Ki Mein Usske Saath Yaha Rahungi.
![]() |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi |
Rajkumari Ne Usske
Pitaaji Ke Taraf Dekha Aur Anichaha Se He Ussne Uss Mendak Ko Uthaya, Aur Table
Ki taraf Lekar Gayi, Aur usse table par baitha diya. Ussne Ghrna Se apna haath
saaf Kiya. Usske Sone Ki Thaali mein Mendhak Ne Khana shuru Kiya Aur Tap Tap
Tap tap Aawaaz Shuru Kar Di. Khana Khane Ke baad Mendhak Ne phir se kaha Ab
mein Bohot thak gaya hu. Mujhe shayanakaksh Le chalo Aur Apne bistar mein mujhe
letao. Mein Kuch Dher aaram Karna Chahunga.
![]() |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi |
Maine uski ichaha Puri ki hai, Ab voh mujhe nahi satayega. Kintu voh
galat thi. Kyun ki Shaamko Mendhak phir se aagaya. Jis samay ussne dheere se
darwaaza khat khatane ki aawaz sunni, Uss Samay Vo phele se he bistar par thi. Dusre
din subhe jab Rajkumari jaghi toh ussne dekha mendhak phir se aagaya tha kintu
shaam hogayi aur phir se mendhak ne teesari bhaar darwaaza khat khataya. Har
din mendhak ke saath sone se rajkumarin ko ghrna aagayi Aur voh usse chhutkara
paane ka vichaar karne lagi.
![]() |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi |
![]() |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales | Princess and the Frog Story in Hindi |
राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani | Hindi Fairy Tales
तो दोस्तों "राजकुमारी और मेंढक - Pariyon Ki Kahani " Princess and the Frog Story in Hindi आपको कैसा लगा? निचे कमेन्ट बॉक्स में आपके बिचार जरूर लिखके हमें बताये।